har zarra-e-ummīd se ḳhushbū nikal aa.e
tanhā.ī ke sahrā meñ agar tū nikal aa.e
kaisā lage is paar agar mausam-e-gul meñ
titlī kā badan oḌh ke jugnū nikal aa.e
phir din tirī yādoñ kī muñDeroñ pe guzārā
phir shaam huī aañkh meñ aañsū nikal aa.e
bechain kiye rahtā hai dhaḌkā yahī jī ko
tujh meñ na zamāne kī koī ḳhū nikal aa.e
phir dil ne kiyā tark-e-ta.alluq kā irāda
phir tujh se mulāqāt ke pahlū nikal aa.e