dil kī manzil us taraf hai ghar kā rasta is taraf
ek chehra us taraf hai ek chehra is taraf
raushnī ke isti.āre us kināre rah ga.e
ab to shab meñ koī jugnū hai nā taarā is taraf
tum havā un khiḌkiyoñ se sirf itnā dekhnā
us ne koī ḳhat kisī ke naam likkhā is taraf
ye mohabbat bhī ajab taqsīm ke mausam meñ hai
saarā jazba is taraf hai sirf lahja is taraf
maañ ne koī ḳhauf aisā rakh diyā dil meñ mire
sach kabhī maiñ bol hī paa.ī na puurā is taraf
ek halkī sī chubhan ehsās ko ghere rahī
guftugū meñ jab tumhārā zikr aayā is taraf
sirf āñkheñ kāñch kī baaqī badan patthar kā hai
laḌkiyoñ ne kis tarah ruup dhārā is taraf
ai havā ai mere dil ke shahr se aatī havā
tujh ko kyā paiġhām de kar us ne bhejā is taraf
kis tarah ke log haiñ ye kuchh patā chaltā nahīñ
kaun kitnā us taraf hai kaun kitnā is taraf