Noshi Gilani

har jaanib virani bhi ho sakti hai

Noshi Gilani

Pakistan

1964
har jānib vīrānī bhī ho saktī hai
sub.h kī rañgat dhānī bhī ho saktī hai
jab kashtī Daalī thī kis ne sochā thā
dariyā meñ tuġhyānī bhī ho saktī hai
na.e safar ke na.e azaab aur na.e gulāb
sūrat-e-hāl purānī bhī ho saktī hai
har-pal jo dil ko dahlā.e rakhtī hai
kuchh bhī nahīñ hairānī bhī ho saktī hai
safar irāda kar to liyā par rastoñ meñ
raat koī tūfānī bhī ho saktī hai
us ko mere naam se nisbat hai lekin
baat ye ānī-jānī bhī ho saktī hai
Top Urdushayar.com