Ismail Merathi

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
kabhī taqsīr jis ne kī hī nahīñ
ham se pūchho to aadmī hī nahīñ
mar chuke jīte-jī ḳhushā qismat
is se achchhī to zindagī hī nahīñ
dostī aur kisī ġharaz ke liye
vo tijārat hai dostī hī nahīñ
yā vafā hī na thī zamāne meñ
yā magar dostoñ ne kī hī nahīñ
kuchh mirī baat kīmiyā to na thī
aisī bigḌī ki phir banī hī nahīñ
jis ḳhushī ko na ho qayām-o-davām
ġham se bad-tar hai vo ḳhushī hī nahīñ
bandagī kā shu.ūr hai jab tak
banda-parvar vo bandagī hī nahīñ
ek do ghūñT jām-e-vahdat ke
jo na pī le vo muttaqī hī nahīñ
kī hai zāhid ne aap duniyā tark
yā muqaddar meñ us ke thī hī nahīñ
Top Urdushayar.com