kujā hastī batā de tū kahāñ hai
jise kahte haiñ bismil nīm-jāñ hai
hamārā ghar hai ya.anī ḳhāna-e-māst
mahal hī kaaḳh hai koshak makāñ hai
chachā am hai pisar beTā pidar baap
to kumba ḳhānumān-o-dūdamāñ hai
safīna naav kashtī baan mallāh
bahe paanī to vo āb-e-ravāñ hai
batāo aag kyā hai nār-o-ātish
dhuāñ kyā chiiz hai do-dūd-o-ḳhāñ hai
jise kahte ho tum gardūn-e-gardāñ
falak charḳh-o-sip.har-o-āsmāñ hai
vahī jannat ki jis kī aarzū hai
na.īm-o-ḳhuld-o-firdaus-o-jināñ hai
sunā kījiye hikāyat hai kahānī
kahā kījiye fasāna dāstāñ hai
mirā sar raas hai māthā jabīñ hai
mire muñh meñ zabāñ hai jo lisāñ hai
kaho tum jo tarāzū hai so mīzāñ
suno tum āzmā.ish imtihāñ hai
hajar patthar hai aur qirtās kāġhaz
subuk halkā hai aur bhārī girāñ hai
asā lāThī alam neza sināñ bhaal
jise ham qaus kahte haiñ kamāñ hai
nihān-o-musatatar poshīda maḳhfī
jo bāriz hai to zāhir hai ayaañ hai
agar jaano ho tum revaḌ ko galla
to charvāhā bhī raa.ī aur shabāñ hai
kahā karte haiñ shā.ir ko suḳhan-dāñ
jo bhedī hai to mahram rāzdāñ hai
humānjā āmdam jaa.e ki hastī
vahīñ aayā huuñ maiñ bhī tū jahāñ hai
yahī kaun-o-makāñ duniyā hai aalam
ye hī getī hī gīhāñ hai jahāñ hai