nahīñ mālūm kyā vājib hai kyā farz
mire maz.hab meñ hai terī razā farz
shu.ūr-e-hastī-e-mauhūm hai kufr
fanā ba.ad-e-fanā ba.ad-e-fanā farz
nahīñ āgāh mast-e-bāda-e-shauq
kahāñ sunnat kidhar vājib kujā farz
reh-e-taslīm meñ az-rū-e-fatvā
duā vājib pa tark-e-mudda.ā farz
na chhūTe kufr meñ bhī vaz-e-īmāñ
ki har hālat meñ hai yād-e-ḳhudā farz
nahīñ dekhā kisī ne husn-e-mastūr
ba-qadr-e-fahm lekin kar liyā farz
na mānūñgā na mānūñgā kabhī maiñ
mujhe karte haiñ kyuuñ us se judā farz
na kholūñgā na kholūñgā zabāñ ko
ki hai iḳhfā-e-rāz-e-dilrubā farz
balā se koī maane yā na maane
chalo ham kar chuke apnā adā farz