sāqī-e-ḳhum-ḳhāna thā jo sub.h-o-shām
roz-e-ādīna thā masjid meñ imaam
jis ne chashm-e-mast-e-sāqī dekh lī
tā-qayāmat us pe hushyārī harām
is lab-e-jāñ-baḳhsh kī bāteñ thiiñ yā
mo.ajazāt-e-īsī-e-gardūñ-maqām
ho gayā us ko qayāmat kā yaqīñ
jis ne dekhā sarv-qāmat kā ḳhirām
chashma-e-āb-e-baqā kī lahr thī
vo ibārat vo ishārat lā-kalām
marhabā itr-e-garebāñ kī shamīm
hai mo.attar jis se rūhānī mashām
thī zabāñ yā qāte-e-auhām yā
zulfiqār-e-haidarī thī be-niyām
jis ne dekhā nargis-e-shahlā kā ḳhvāb
is ne paayā ramz-e-qalbī lā-yanām
qaala atmamto alaikum ne.matī
ho ga.iiñ sab ḳhūbiyāñ us par tamām
jis ne chāTī utba-e-uliyā kī ḳhaak
talḳhī-e-daurāñ se ho kyuuñ talḳh-kām
ai sabā sahrā-e-jāñ meñ kar talāsh
kis taraf haiñ vo surādiq vo ḳhiyām
ḳhalvat-e-lailā meñ tū guzre agar
to ye kah denā hamārā bhī payām
tishnigān-e-shauq haiñ gum-karda-rāh
tū bhī chal bahr-e-ḳhudā do-chār gaam
bahr meñ barpā huā josh-o-ḳharosh
habbazā rushhāt-e-kāsātil-kirām
sauñp dī thī dast-e-qudrat ne tujhe
nāqa-e-lailā-e-ma.anī kī zamām