shab-e-zindagānī sahar ho ga.ī
bahr-kaif achchhī basar ho ga.ī
na samjhe ki shab kyuuñ sahar ho ga.ī
idhar kī zamīñ sab udhar ho ga.ī
zamāne kī bigḌī kuchh aisī havā
ki be-ġhairatī bhī hunar ho ga.ī
amā.id ne kī vaz.a jo iḳhtiyār
vahī sab ko madd-e-nazar ho ga.ī
ga.e jo nikal dām-e-tazvīr se
hazīmat hī in kī zafar ho ga.ī
zamīñ munqalib āsmāñ charḳh-zan
iqāmat bhī ham ko safar ho ga.ī
miTā Dāliye lauh-e-dil se ġhubār
kisī se ḳhatā bhī agar ho ga.ī
ba-rāh-e-karam us ko tai kījiye
jo an-ban kisī baat par ho ga.ī
na karnā thā bizzid madavā-e-ġham
baḌī chuuk ai chāra-gar ho ga.ī
ye hañgāma-ārā haiñ sab be-ḳhabar
vo chup haiñ jinheñ kuchh ḳhabar ho ga.ī