Ismail Merathi

gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
gar nashe meñ koī be-fikr-o-ta.ammul bāñdhe
chashm-e-mai-gūñ ko tirī jām-e-pur-az-mul bāñdhe
zikr-e-qāmat meñ agar fikr taraqqī na kare
rashk-e-tūbā to likhe go ba-tanazzul bāñdhe
tab.a kī silsila-jumbāñ jo pareshānī ho
gesū-e-ġhāliya sā ko tire sumbul bāñdhe
naala to vo hai ki ghabrā ke uThā de parda
lek nazzāre kī himmat bhī tahammul bāñdhe
kuchh na ban aa.egī jab luuT machāegī ḳhizāñ
ġhuncha har chand girah kas ke zar-e-gul bāñdhe
rū-ba-rū us ke lab-e-arz-e-tamannā na hile
zor-e-afsūn-e-nazar se ga.e bilkul bāñdhe
haiñ tire band-e-qabā uqda-e-dushvār mire
ki jo khole na khule aur jo ga.e khul bāñdhe
na bache par na bache sail-e-fanā se na bache
gar koī kañgura-e-charḳh pe bhī pul bāñdhe
aañkh khulne bhī na paa.ī thī ki us ne fauran
band burqe ke ba-andāz-e-taġhāful bāñdhe
haa.e vo said ki sayyād ke pīchhe lapke
sar ko fitrāk pe har-dam ba-tafāvul bāñdhe
Top Urdushayar.com