Ismail Merathi

aaKHir ye husn chhup na sakega naqab mein

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
āḳhir ye husn chhup na sakegā naqāb meñ
sharmāoge tumhīñ na karo zid hijāb meñ
pāmāl shoḳhiyoñ meñ karo tum zamīn ko
Dālūñ falak pe zalzale meñ iztirāb meñ
raushan hai āftāb kī nisbat charāġh se
nisbat vahī hai aap meñ aur āftāb meñ
dil kī girah na vā huī dard-e-shab-e-visāl
guzrī tamām bast-o-kushād-e-naqāb meñ
jaañ maiñ ne nāma-bar ke qadam par nisār kī
thā pesh-e-pā fatāda ye mazmūñ javāb meñ
hañs hañs ke barq ko to zarā kiije be-qarār
ro ro ke abr ko maiñ Dubotā huuñ aab meñ
vaa.iz se Dar ga.e ki na shāmil hue ham aaj
tartīb-e-mahfil-e-mai-o-cha.g-o-rabāb meñ
saaqī idhar to dekh ki ham dair-e-mast haiñ
kuchh mastī-e-nigah bhī milā de sharāb meñ
dāḳhil na dushmanoñ meñ na ahbāb meñ shumār
madd-e-fuzūl huuñ maiñ tumhāre hisāb meñ
kis kis ke jaur uThā.eñge aage ko dekhiye
dushman hai charḳh-e-pīr zamān-e-shabāb meñ
paiġhāmbar ishāra-e-abrū se mar gayā
phir jī uThegā lab bhī hilā do javāb meñ
Top Urdushayar.com