maiñ agar vo huuñ jo honā chāhiye
maiñ hī maiñ huuñ phir mujhe kyā chāhiye
ġharq-e-ḳhum honā mayassar ho to bas
chāhiye sāġhar na miinā chāhiye
munhasir marne pe hai fatah-o-shikast
khel mardāna hai khelā chāhiye
be-takalluf phir to khevā paar hai
maujzan qatra meñ dariyā chāhiye
tez ġhairoñ par na kar teġh-o-tabar
aap apne se mubarrā chāhiye
ho dam-e-arz-e-tajallī paash paash
siina misl-e-tūr-e-sīnā chāhiye
husn kī kyā ibtidā kyā intihā
shefta bhī be-sar-o-pā chāhiye
pārsā ban gar nahīñ rindoñ meñ baar
kuchh to bekārī meñ karnā chāhiye
kufr hai saaqī pe ḳhissat kā gumāñ
tishna sargarm-e-taqāzā chāhiye