rusvā hue baġhair na nāz-e-butāñ uThā
jab ho ga.e subuk to ye bār-e-girāñ uThā
ma.anī meñ kar talāsh ma.āsh-e-dil-o-dimāġh
haivāñ-sifat na lazzat-e-kām-o-dahāñ uThā
gar ḳhanda yaad aa.e to siine ko chaak kar
gar ġhamza yaad aa.e to zaḳhm-e-sināñ uThā
yā aañkh uThā ke chashm-e-fusūñ-sāz ko na dekh
yā umr-bhar masā.ib-e-daur-e-zamāñ uThā
us anjuman meñ jā.iye ab kis umiid par
ham baiThne na paa.e ki vo bad-gumāñ uThā
be-yād-e-dost umr-e-girāmī na sarf kar
us ganj-e-shā.egāñ ko na yuuñ rā.egāñ uThā
vasl-o-firāq vahm sahī dil-lagī to hai
phir ham kahāñ jo parda-e-rāz-e-nihāñ uThā
parvāne kī tapish ne ḳhudā jaane kaan meñ
kyā kah diyā ki sham.a ke sar se dhuāñ uThā