koī din kā āb-o-dāna aur hai
phir chaman aur āshiyāna aur hai
haañ dil-e-be-tāb chande intizār
amn-o-rāhat kā Thikāna aur hai
sham.a phīkī raat kam mahfil udaas
ab muġhannī kā tarāna aur hai
ai javānī tū kahānī ho ga.ī
ham nahīñ vo yā zamāna aur hai
jis ko jān-e-zindagānī kah sakeñ
vo hayāt-e-jāvedāna aur hai
jis ko sun kar zohra-e-sañg aab ho
aah vo ġhamgīñ fasāna aur hai
vā agar samā-e-razā ho to kahūñ
ek pand-e-mushfiqāna aur hai
ittifāqī hai yahāñ kā irtibāt
sab haiñ begāne yagāna aur hai