Ismail Merathi

nikle chale aate hain tah-e-KHak se khane

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
nikle chale aate haiñ tah-e-ḳhāk se khāne
ye ḳhvān-e-karam kis ne bichhāyā hai ḳhudā ne
jo dil meñ hai muñh phoḌ ke barvar nahīñ kahte
maarā mujhe yāroñ kī durust aur bajā ne
ġhaflat meñ haiñ sar-mast badalte nahīñ karvaT
go sar pe uThā lī hai zamīñ shor-e-darā ne
isrāf ne arbāb-e-tamavvul ko Duboyā
aalim ko tafāḳhur ne to zāhid ko riyā ne
mard us ko samajhte na kiyā ho jise badmast
ayyām-e-javānī kī mai-e-hosh-rubā ne
bā-īñ-hama darmāndagī insāñ ke ye da.ave
kyā zāt-e-sharīf in ko banāyā hai ḳhudā ne
jalvat kā bharosa hai na ḳhalvat kī tavaqqo
sab vahm thā yāroñ ne jo taake the Thikāne
Top Urdushayar.com