ye dil kī dāstān hai ki dil ġhulām kar diyā
ajiib log aap haiñ ajiib kaam kar diyā
tumhārī ye saḳhvāteñ tumhārī ye ināyateñ
jo ġham tumhāre paas thā hamāre naam kar diyā
diloñ kā bhed khul gayā to phir ajiib rañg meñ
dabī dabī sī baat ko kisī ne aam kar diyā
kisī ko surḳh-rū kiyā kisī kī bazm-e-shauq meñ
zarā zarā sī baat par ye ehtimām kar diyā
kabhī hameñ burā lagā kabhī hameñ bhalā lagā
hamāre dil kī baat ko kisī ne aam kar diyā
uḌaan ḳhūb-tar huī jo panchhiyoñ kī Daar kī
to gher-ghār kar kisī ne zer-e-dām kar diyā