Ismail Merathi

wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
vahīñ se jab ki ishāra ho ḳhud-numā.ī kā
ajab ki banda na da.avā kare ḳhudā.ī kā
mile jo rutba tire dar kī jabah-sā.ī kā
to ek silsila ho shāhī-o-gadā.ī kā
nahīñ hai faiz meñ ḳhissat va-lek paidā hai
tafāvut ā.ina-o-sañg meñ safā.ī kā
yahāñ jo ishq hai betāb-e-jalva-e-dīdār
vahāñ bhī husn muharrik hai ḳhud-numā.ī kā
butoñ ke sāmne but-gar ghise jabīn-e-niyāz
maiñ shefta huuñ tirī shān-e-kibriyā.ī kā
na kar kisī kī burā.ī na ban bhale se burā
bhalā bhalā hai burā kaam hai burā.ī kā
banā.eñ bigḌī huī ko to ek baat bhī hai
bigāḌnā nahīñ mushkil banī-banā.ī kā
uThā hijāb to bas dīn-o-dil diye hī banī
janāb-e-shaiḳh ko da.avā thā pārsā.ī kā
tumhāre dil se kudūrat miTā.e to jāneñ
khulā hai shahr meñ ik mahkama safā.ī kā
havas hai gar sar-o-sāmāñ ke jam.a karne kī
talāsh kar sar-o-sāmān be-navā.ī kā
sivā.e ishq nahīñ koī rahbar-e-chālāk
vahāñ ḳhirad ko nahīñ hausla rasā.ī kā
usī kā vasf hai maqsūd sher-ḳhvānī se
usī kā zikr hai manshā ġhazal-sarā.ī kā
nahīñ hai ab ke zamāne kī ye ravish zinhār
maiñ yādgār huuñ 'ḳhāqānī'-o-'sanā.ī' kā
Top Urdushayar.com