Ismail Merathi

ghair-e-tawakkul nahin chaara mujhe

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
ġhair-e-tavakkul nahīñ chārā mujhe
apne hī dam kā hai sahārā mujhe
hirs-o-tama ne to Duboyā hī thā
sabr-o-qanā.at ne ubhārā mujhe
jo vo kahe us ko sazā-vār hai
chūn-o-charā kā nahīñ yaarā mujhe
be-adaboñ kī adab-āmoziyāñ
in ke bigaḌne ne sañvārā mujhe
koshish-e-be-sūd mushavvash na kar
qa.ar na ban jaa.e kinārā mujhe
zishtī-e-pindār dilātā hai yaad
qissa-e-askandar-o-dārā mujhe
nañg-e-muzillat se chhuḌā le gayā
josh-e-hamiyyat kā harārā mujhe
auj-e-ma.ālī pe uḌā le gayā
tausan-e-himmat kā tarārā mujhe
aah nahīñ ruḳhsat-e-ifshā-e-rāz
qissa to ma.alūm hai saarā mujhe
fursat-e-auqāt hai bas muġhtanim
ye nahīñ milne kī dobārā mujhe
Top Urdushayar.com