kyā yahī hai jis pe ham dete haiñ jaañ
yā koī duniyā-e-fānī aur hai
yuuñ to har insān goyā hai magar
sheva-e-shevā-bayānī aur hai
chal rahī hai jis se jismānī machine
koī poshīda kamānī aur hai
dil ne paidā kī kahāñ se ye tarañg
koī tahrīk-e-nihānī aur hai
ġhair samjhā hai kise ai ham-nashīñ
mere dil meñ bad-gumānī aur hai
tum ne kab dekhā hai be-rañgī kā rañg
be nishānī kī nishānī aur hai