jahāñ teġh-e-himmat alam dekhte haiñ
mahālāt kā sar qalam dekhte haiñ
jo baiThe the yaañ pā-ba-dāmān-e-hastī
unheñ sar-ba-jeb-e-adam dekhte haiñ
kamālāt-e-sāne.a pe jin kī nazar hai
vo ḳhūbī-e-masnūa kam dekhte haiñ
nahīñ mubtalā jo tan-āsāniyoñ meñ
unheñ dam-ba-dam tāza-dam dekhte haiñ
nahīñ jin ko jāh-o-hasham kā takabbur
vahī lutf-e-jāh-o-hasham dekhte haiñ
shikam-parvarī jin kā sheva hai un ko
asīr-e-jafā-e-shikam dekhte haiñ
bas ai rañg-o-bū tū na kar naaz be-jā
ḳhudā jaane kyā baat ham dekhte haiñ
uḌāte haiñ jo raḳhsh-e-himmat ko sarpaT
vo manzil ko zer-e-qadam dekhte haiñ