Ismail Merathi

aaghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
āġhāz-e-ishq umr kā anjām ho gayā
nākāmiyoñ ke ġham meñ mirā kaam ho gayā
tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adū phire
maiñ pā.emāl-e-gardish-e-ayyām ho gayā
merā nishāñ miTā to miTā par ye rashk hai
vird-e-zabān-e-ḳhalq tirā naam ho gayā
dil chaak chaak naġhma-e-nāqūs ne kiyā
sab paara paara jāma-e-ehrām ho gayā
ab aur DhūñDiye koī jaulāñ-gah-e-junūñ
sahrā ba-qadr-e-vus.at-e-yak-gām ho gayā
dil pech se na turra-e-pur-ḳham ke chhuT sakā
bālā-ravī se murġh tah-e-dām ho gayā
aur apne haq meñ ta.an-e-taġhāful ġhazab huā
ġhairoñ se multafit but-e-ḳhud-kām ho gayā
tāsīr-e-jazba kyā ho ki dil iztirāb meñ
taskīñ-pazīr bosa-ba-paiġhām ho gayā
kyā ab bhī mujh pe farz nahīñ dostī-e-kufr
vo zid se merī dushman-e-islām ho gayā
allāh-re bosa-e-lab-e-mai-gūñ kī aarzū
maiñ ḳhaak ho ke durd-e-tah-e-jām ho gayā
ab tak bhī hai nazar taraf-e-bām-e-māh-vash
maiñ garche āftāb-e-lab-e-bām ho gayā
ab harf-e-nā-sazā meñ bhī un ko dareġh hai
kyuuñ mujh ko zauq-e-lazzat-e-dushnām ho gayā
Top Urdushayar.com