hai vasf tirā muhīt-e-āzam
yaañ taab kise shanāvarī kī
dī zindagī aur us kā sāmāñ
kyā shaan hai banda-parvarī kī
shāhansha-e-vaqt hai vo jis ne
tere dar kī gadāgarī kī
bad-tar huuñ vale karam se tere
ummīd-e-qavī hai behtarī kī
kyā aañkh ko til diyā ki jis meñ
vus.at hai charḳh-e-chambarī kī
dekhā to vahī hai rāh-o-rahrav
phir us ne hai aap rahbarī kī
har shakl meñ thā vahī numūdār
ham ne hī nigāh sarsarī kī
kyā baat hai gar kiyā tarahhum
haihāt jo tū ne dāvarī kī
kī ba.ad-e-ḳhizāñ bahār paidā
sūkhī Tahnī harī-bharī kī
jhuuT aur mubālaġha ne afsos
izzat kho dī suḳhanvarī kī
likkhī thī ġhazal ye āgara meñ
pahlī tārīḳh january kī