Ismail Merathi

tabligh-e-payam ho gai hai

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
tablīġh-e-payām ho ga.ī hai
hujjat bhī tamām ho ga.ī hai
jab mauj-e-sabā udhar se aa.ī
tafrīh-e-mashām ho ga.ī hai
kitnī bodī hai tab-e-insāñ
aadat kī ġhulām ho ga.ī hai
ḳhvāhish ki thī aadmī ko lāzim
baḌh kar ilzām ho ga.ī hai
tamhīd-e-payām hī meñ apnī
taqrīr tamām ho ga.ī hai
bachnā ki vabā-e-sohbat-e-bad
is daur meñ aam ho ga.ī hai
halqe meñ qalandaroñ ke aa kar
tahqīq tamām ho ga.ī hai
jarga meñ loqandaroñ ke jā kar
hikmat badnām ho ga.ī hai
shīrīñ-dahanoñ kī tarz-e-guftār
maqbūl-e-anām ho ga.ī hai
bejā bhī nikal ga.ī hai jo baat
tahsīn-e-kalām ho ga.ī hai
nāmard ke haath meñ pahuñch kar
shamshīr niyām ho ga.ī hai
takfīr-e-birādarān-e-dīñ bhī
shart-e-islām ho ga.ī hai
kyā sher kaheñ ki shā.erī kī
turkī hī tamām ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com