Ismail Merathi

wan zerki pasand na idrak chahiye

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917

vaañ zerkī pasand na idrāk chāhiye

ijz-o-niyāz-e-dīda-e-namnāk chāhiye

ā.īna ban ki shāhid-o-mash.hūd ek hai

us rū-e-pāk ko nazar-e-pāk chāhiye

sair-o-sulūk-e-jāñ nahīñ be-jazba-e-nihāñ

is raah meñ ye tausan-e-chālāk chāhiye

guzre ummīd-o-bīm se ye hausla kise

rind-e-ḳharāb-o-ārif-e-bebāk chāhiye

har chashma aa.ina hai ruḳh-e-āftāb

haañ sat.h-e-āb be-ḳhas-o-ḳhāshāk chāhiye

nash-o-numā-e-sabza-o-gul meñ nahīñ darañg

abr-e-karam ko tishnagī-e-ḳhāk chāhiye

islāh-e-hāl-e-āshiq-e-dil-ḳhasta hai zarūr

ma.ashūq jaur-pesha-o-saffāk chāhiye

jo ain-e-nā-e-nosh ho us bāda-nosh ko

jām-o-subū na ḳhum-kada-o-tāk chāhiye

sayyād ke asar pe ravāñ ho to said hai

vo said nahīñ jise fitrāk chāhiye

Top Urdushayar.com