Ismail Merathi

jo bhale bure ki aTkal na mera shiar hota

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
jo bhale bure kī aTkal na mirā shi.ār hotā
na jazā-e-ḳhair paatā na gunāhgār hotā
mai-e-be-ḳhudī kā saaqī mujhe ek jur.a bas thā
na kabhī nasha utartā na kabhī ḳhumār hotā
maiñ kabhī kā mar bhī rahtā na ġham-e-firāq sahtā
agar apnī zindagī par mujhe iḳhtiyār hotā
ye jo ishq-e-jāñ-sitāñ hai ye jo bahr-e-be-karāñ hai
na sunā koī safīna kabhī is se paar hotā
kabhī bhuul kar kisī se na karo sulūk aisā
ki jo koī tum se kartā tumheñ nāgavār hotā
hai is anjuman meñ yaksāñ adam-o-vajūd merā
ki jo maiñ yahāñ na hotā yahī kārobār hotā
Top Urdushayar.com