hai jān-e-hazīñ ek lab-e-rūh-fazā do
ai kaash ki is ek kī ho jaa.eñ davā do
thā ḳhār-e-jigar hijr meñ tanhā ġham-e-dūrī
haiñ āfat-e-jāñ vasl meñ ab sharm-o-hayā do
mastāna-ravish kyuuñ na chale vo nigah-e-nāz
āñkheñ haiñ ki haiñ jām-e-mai-e-hosh-rubā do
jī tañg hai kyā kījiye aur josh-e-balā ye
dil ek hai kyā dījiye aur zulf-e-dotā do
hai ain ināyat jo nishāñ pūchhiye merā
ye bhī nahīñ manzūr to apnā hī patā do
kyā dām-e-fareb us ne bichhāyā hai dil-āvez
do aan phañseñ aur jo ho jaa.eñ rihā do
gar nāz-ḳhud-ārā ko hai yaktā.ī kā da.avā
kyuuñ ā.īna dekhā ki hue jalva-numā do
bebākī-o-shoḳhī bhī hai aur sharm-o-hayā bhī
do mahram-e-asrār haiñ to parda-kushā do
do gesū-o-do zulf-e-balā-ḳhez haiñ chāroñ
haañ kākul-e-ḳhamdār bhī haiñ un ke sivā do
vo tarz-o-ravish haa.e vo andāz-o-adā haif
kyā bachte dil-o-jān kujā chaar kujā do
serī-e-nazar bhī na huī haa.e mayassar
āñkheñ jo huiiñ chaar lage tīr-e-qazā do