Ismail Merathi

wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
vo pairahan-e-jān meñ jaañ hajla-e-tan meñ
huuñ vahm-e-judā.ī se ajab rañj-o-mehan meñ
maqsūd ziyārat hai agar ka.aba-e-dil kī
ho garm-e-safar nāhiya-e-mulk-e-vatan meñ
vo qāmat-e-dilkash hai ajab fitna-e-ālam
chhuptā hī nahīñ pairahan-e-naud-kuhan meñ
ai sham.a bahā ashk chhupā rāz-e-mohabbat
ḳhākistar-e-parvāna hai betāb lagan meñ
shorish mirī bejā hai na fariyād nikammī
raunaq hai zarā nāla-e-bulbul se chaman meñ
tāsīr ho kyā ḳhaak jo bātoñ meñ ghaḌat ho
kuchh baat nikaltī hai to be-sāḳhta-pan meñ
kam-tar hai do o daam se insāñ ba-marātib
har dam jo taraqqī na kare chāl-chalan meñ
huuñ maiñ to vahī mo.atakif-e-gosha-e-uzlat
hālāñki mirā reḳhta pahuñchā hai deccan meñ
ye sach hai ki saudā bhī thā ustād-e-zamāna
merī to magar 'mīr' hī thā sher ke fan meñ
Top Urdushayar.com