Ismail Merathi

rawish-e-sada-bayani meri

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
ravish-e-sāda-bayānī merī
hai ye teġh-e-safhānī merī
nā-shanāsā ko na aa.e bāvar
dāstāñ us kī zabānī merī
merī hastī hai mumayyaz ba-adam
be-nishānī hai nishānī merī
raḳhna-gar hai mirī āzādī meñ
havas-e-bāl fishānī merī
sabaq-e-jahl kī takrār pe ab
munhasir hai hama-dānī merī
dostī vaz.a-e-tan-āsānī kī
ban ga.ī dushman-e-jānī merī
ḳhātma hai mirī tamhīd meñ darj
hai dil-āvez kahānī merī
zīrakī dām-e-fareb-e-dil hai
hai tahayyur nigarānī merī
dil ho saaqī lab-e-dariyā sāġhar
sahl hai pyaas bujhānī merī
sub.h-e-tiflī hai buḌhāpā merā
shām-e-pīrī thī javānī merī
ek chakkar hai ba-shakl-e-gardāb
band-barpā hai ravānī merī
vaj.h baaqī mire ma.anī ko samajh
sūrat albatta hai faanī merī
bazm-e-kasrat kā tamāshā.ī huuñ
vahdat-e-sarf hai baanī merī
Top Urdushayar.com