Ismail Merathi

zahir tu hai to main nihan hun

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
zāhir tū hai to maiñ nihāñ huuñ
bātin tū hai to maiñ ayaañ huuñ
tū hī zāhir hai tū hī bātin
tū hī tū hai to maiñ kahāñ huuñ
tere hote kahīñ nahīñ maiñ
avval āḳhir na darmiyāñ huuñ
tū tū maiñ maiñ ne maar Daalā
dam band hai kījiye na haañ huuñ
maiñ hī lailā huuñ maiñ hī mahmil
naaqa bhī huuñ maiñ hī sārbāñ huuñ
huuñ kunj-e-qafas meñ band lekin
bairūn-e-zamīn-o-āsmāñ huuñ
dariyā kī tarah ravāñ huuñ lekin
ab tak bhī vahīñ huuñ maiñ jahāñ huuñ
juz naam nahīñ nishān merā
sach-much maiñ bahr-e-be-karāñ huuñ
Top Urdushayar.com