vahī kārvāñ vahī qāfila tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī manzil aur vahī marhala tumheñ yaad ho ki na yaad ho
mutafā.ilun mutafā.ilun mutafā.ilun mutafā.ilun
ise vazn kahte haiñ sher kā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī shukr hai jo sipās hai vo malūl hai jo udaas hai
jise shikva kahte ho hai gila tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī naqs hai vahī khoT hai vahī zarb hai vahī choT hai
vahī suud hai vahī fā.eda tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī hai nadī vahī nahr hai vahī mauj hai vahī lahr hai
ye habāb hai vahī bulbula tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī kizb hai vahī jhuuT hai vahī jur.a hai vahī ghūñT hai
vahī josh hai vahī valvala tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī sāthī hai jo rafīq hai vahī yaar hai jo sadīq hai
vahī mehr hai vahī māmtā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jise bhed kahte ho raaz hai jise baajā kahte ho saaz hai
jise taan kahte ho hai navā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jo murād hai vahī mudda.ā vahī muttaqī vahī pārsā
jo phañse balā meñ vo mubtalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jo kahā hai maiñ ne maqāl hai jo namūna hai so misāl hai
mirī sarguzisht hai mājrā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jo chunāñche hai vahī jaisā hai jo che-gona hai vahī kaisā hai
jo chunāñ-chunīñ hai so hā-kazā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vahī ḳhvār hai jo zalīl hai vahī dost hai jo ḳhalīl hai
bad-o-nek kyā hai burā bhalā tumheñ yaad ho ki na yaad ho