rāh-o-rasm-e-ḳhat-kitābat hī sahī
gul nahīñ to gul kī nik.hat hī sahī
dil-lagī kā koī sāmāñ chāhiye
qaht-e-ma.anī ho to sūrat hī sahī
be-dimāġhī banda-parvar is qadar
aap kī sab par hukūmat hī sahī
dostī kā maiñ ne kab da.avā kiyā
duur kī sāhab salāmat hī sahī
bas-ki zikr-ul-aish nisf-ul-aish hai
yād-e-ayyām-e-farāġhat hī sahī
vaqt milne kā muayyan kījiye
ḳhvāh fardā-e-qayāmat hī sahī
husn-e-sūrat kā na khā aslan fareb
kilk-e-san.at-gar kī san.at hī sahī
kuchh na karnā bhī magar ik kaam hai
gar nahīñ sohbat to uzlat hī sahī