Ismail Merathi

tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
tārīf us ḳhudā kī jis ne jahāñ banāyā
kaisī zamīñ banā.ī kyā āsmāñ banāyā
paañv tale bichhāyā kyā ḳhuub farsh-e-ḳhākī
aur sar pe lājavrdī ik sā.ebāñ banāyā
miTTī se bel-būTe kyā ḳhushnumā ugaa.e
pahnā ke sabz ḳhil.at un ko javāñ banāyā
ḳhush-rañg aur ḳhushbū gul phuul haiñ khilā.e
is ḳhaak ke khañDar ko kyā gulistāñ banāyā
meve lagā.e kyā kyā ḳhush-zā.eqa rasīle
chakhne se jin ke mujh ko shīrīñ-dahāñ banāyā
sūraj banā ke tū ne raunaq jahāñ ko baḳhshī
rahne ko ye hamāre achchhā makāñ banāyā
pyāsī zamīñ ke muñh meñ meñh kā chuvāyā paanī
aur bādaloñ ko tū ne meñh kā nishāñ banāyā
ye pyārī pyārī chiḌiyāñ phirtī haiñ jo chahaktī
qudrat ne terī un ko tasbīh-ḳhvāñ banāyā
tinke uThā uThā kar lā.īñ kahāñ kahāñ se
kis ḳhūb-sūratī se phir āshiyāñ banāyā
ūñchī uḌeñ havā meñ bachchoñ ko par na bhūleñ
in be-paroñ kā un ko rozī-rasāñ banāyā
kyā duudh dene vaalī gaa.eñ banā.īñ tū ne
chaḌhne ko mere ghoḌā kyā ḳhush-ināñ banāyā
rahmat se terī kyā kyā haiñ nemateñ mayassar
in nematoñ kā mujh ko hai qadr-dāñ banāyā
āb-e-ravāñ ke andar machhlī banā.ī tū ne
machhlī ke tairne ko āb-e-ravāñ banāyā
har chiiz se hai terī kārīgarī Tapaktī
ye kārḳhāna tū ne kab rā.egāñ banāyā
Top Urdushayar.com