Ismail Merathi

aariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gain

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
āriz-e-raushan pe jab zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ
kufr kī gumrāhiyāñ ham-rañg-e-īmāñ ho ga.iiñ
zulf dekhī us kī jin qaumoñ ne vo kāfir banīñ
ruḳh nazar aayā jinheñ vo sab musalmāñ ho ga.iiñ
ḳhud-faroshī husn ko jab se huī madd-e-nazar
nirḳh-e-dil bhī ghaT gayā jāneñ bhī arzāñ ho ga.iiñ
jo banā.īñ thiiñ kabhī aivān-e-kisrā kā javāb
gardish-e-aflāk se gard-e-bayābāñ ho ga.iiñ
ḳhauf-e-nākāmī hai jab tak kāmyābī hai muhāl
mushkileñ jab bañdh ga.iiñ himmat sab āsāñ ho ga.iiñ
haa.e kis ko roiye aur kis kī ḳhātir pīTiye
kaisī kaisī sūrateñ nazroñ se pinhāñ ho ga.iiñ
kyā unheñ andoh-e-hañgām-e-sahar yaad aa gayā
shaam hī se bazm meñ sham.eñ jo giryāñ ho ga.iiñ
ik farishte bhī to haiñ jin ko na mehnat hai na rañj
ḳhvāhisheñ dil kī balā-e-jān-e-insāñ ho ga.iiñ
kyā hai vo jān-e-mujassam jis ke shauq-e-dīd meñ
jāma-e-tan pheñk kar rūheñ bhī uryāñ ho ga.iiñ
thī vo taufīq-e-ilāhī maiñ ne samjhā apnā fe.al
tā.ateñ bhī mere haq meñ ain isyāñ ho ga.iiñ
Top Urdushayar.com