Ismail Merathi

nikhat-e-turra-e-mushkin jo saba lai hai

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
nik.hat-e-turra-e-mushkīñ jo sabā laa.ī hai
koī āvāra huā hai koī saudā.ī hai
be-ḳhudī se hai yahāñ be-ḳhabarī kā aalam
ḳhud-numā.ī ko vahāñ shaġhl-e-ḳhud-ārā.ī hai
apnī hī jalvagarī hai ye koī aur nahīñ
ġhaur se dekh agar aañkh meñ bīnā.ī hai
hai mujhe kashmakash-e-sa.ī-o-talab se nafrat
dil mirā tark-e-tamannā kā tamannā.ī hai
juz dil-e-pāk na paayā haram-e-ḳhās kahīñ
dair-o-ka.aba meñ abas nāsiya-farsā.ī hai
naaz kī jalvagarī ke liye manzar hai niyāz
nā-tavānī mirī ham-rañg-e-tavānā.ī hai
jab tabī.at hī na hāzir ho to be-sūd hai fikr
sher-goī to kahāñ qāfiya-paimā.ī hai
muñh pe lā.ūñ to ye kam-zarf bahak jaa.eñ abhī
baat jo pīr-e-ḳharābāt ne samjhā.ī hai
ḳhud munādī o munādā huuñ na ġhaibat na huzūr
ālam-e-ġhaib se yuuñ dil meñ nidā aa.ī hai
dil ye kahtā hai ki hāsil kī hai tahsīl abas
na tamannā koī shai hai na tamannā.ī hai
Top Urdushayar.com