aish ke jalse hujūm ālām ke
shobade haiñ gardish-e-ayyām ke
himmat-e-mardāna tujh ko āfrīñ
kar ke chhoḌā sar hue jis kaam ke
sub.h ke bhūle to aa.e shaam ko
dekhiye kab aa.eñ bhūle shaam ke
tū hī kar taklīf o paik-e-sabā
muntazir haiñ vo mire paiġhām ke
hāshā lillāh mai-kade ke kaase leñ
mo'taqid huuñ zāhid-e-ullām ke
miT ga.ī hai dil se āzādī kī yaad
kitne ḳhūgar ho ga.e ham daam ke
ab to charche jā-ba-jā hone lage
vā.izoñ kī bāñg-e-be-hañgām ke