salāmat hai sar to sirhāne bahut haiñ
mujhe dil-lagī ke Thikāne bahut haiñ
jo tashrīf laao to hai kaun maan.e
magar ḳhū-e-bad ko bahāne bahut haiñ
asar kar ga.ī nafs-e-rahzan kī dhamkī
ki yaañ mard kam aur zanāne bahut haiñ
muattal nahīñ baiThte shaġhl vaale
shikār-afganoñ ko nishāne bahut haiñ
karo dil ke vīrāne kī kunj-kāvī
dabe is khañDar meñ ḳhazāne bahut haiñ
na ai sham.a ro ro ke mar shaam hī se
abhī tujh ko aañsū bahāne bahut haiñ
huā merī rūdād par hukm āḳhir
ki mash.hūr aise fasāne bahut haiñ
nahīñ rail yā taar barqī pe mauqūf
chhupe qudratī kār-ḳhāne bahut haiñ
bache kyūñki be-chāra murġh-e-gurasna
ba-kasrat haiñ daam aur daane bahut haiñ
bas ik āstāna hai sajde ke qābil
zamāna meñ go āstāne bahut haiñ