Ismail Merathi

bazm-e-ijad mein be-parda koi saz nahin

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
bazm-e-ījād meñ be-parda koī saaz nahīñ
hai ye terī hī sadā ġhair kī āvāz nahīñ
kah sake kaun vo kyā hai magar az-rū-e-yaqīñ
gul nahīñ sham.a nahīñ sarv-e-sar-afrāz nahīñ
dil ho be-laus to kyā vaj.h-e-tasallī ho daroġh
tā.ir-e-murda magar to.ama-e-shahbāz nahīñ
bulbuloñ kā thā jahāñ sehn-e-chaman meñ amboh
aaj chiḌiyā bhī vahāñ zamzama-pardāz nahīñ
bhaag vīrāna-e-duniyā se ki is manzil meñ
nuzl-e-mehmān ba-juz mā.ida-e-āz nahīñ
dilbarī jazb-e-mohabbat kā karishma hai faqat
kuchh karāmat nahīñ jaadū nahīñ e.ajāz nahīñ
dil kī tasḳhīr hai shīrīñ-suḳhanī par mauqūf
kuchh karāmat nahīñ jaadū nahīñ e.ajāz nahīñ
dast-e-qudrat ne mujhe aap banāyā hai to phir
kaun sā kaam hai merā ki ḳhudā-sāz nahīñ
Top Urdushayar.com