hai be-lab-o-zabān bhī ġhul tere naam kā
mahram nahīñ hai gosh magar is payām kā
ḳhush hai malāmat ahl-e-ḳharābāt kai liye
is silsile meñ naam nahīñ nañg-o-nām kā
naḳhvat hai jis ke kāsa-e-sar meñ bharī hui
kab mustahiq hai mahfil rindāñ meñ jaam kā
jāgīr-e-dard par hameñ sarkār-e-ishq ne
tahrīr kar diyā hai vasīqa davām kā
vādī-e-ishq meñ na milā koī ham-safar
sunte the naam ḳhizr alaihis-salām kā
āsūdgī na DhūñD ki jaatā hai kārvāñ
le musta.ār barq se vaqfa qayām kā
kholā hai mujh pe sirr-e-haqīqat majāz ne
ye puḳhtagī sila hai ḳhayālāt-e-ḳhām kā
khātā nahīñ fareb-e-tamannā-e-do-jahāñ
ḳhūgar nahīñ hai tausan-e-himmat lagām kā
mat rakh tama.a se chashm-e-tamatto ki hai yahāñ
daana har ek mardumak-e-dīda-dām kā
pahuñchā diyā hudūd-e-do-ālam se bhī pare
mutrib ne raag chheḌ diyā kis maqām kā
zulmat meñ kyā tamīz safed-o-siyāh kī
furqat meñ kuchh hisāb nahīñ sub.h-o-shām kā
jis kī nazar hai san.at-e-abrū-nigār par
hai vo qatīl-e-teġh na kushta niyām kā
khāne ko ai harīs ġham-e-ishq kam nahīñ
ye ho to kuchh bhī fikr na kar qarz-o-vām kā
maiñ be-qarār-e-manzil-e-maqsūd be-nishāñ
raste kī intihā na Thikānā maqām kā
gar dekhiye to ḳhātir-e-nāshād shaad hai
sach pūchhiye to hai dil-e-nākām kaam kā
uTThe tirī naqāb to uTh jaa.e ek baar
sab tafraqa ye roz-o-shab-o-sub.h-o-shām kā