qalam ko is liye talvār karnā
ki baḌh ke zulm par hai vaar karnā
milī hai zindagī to ham ne sochā
hameñ kaisā yahāñ kirdār karnā
bhalā pahle hī patthar kyuuñ bichhā.e
agar thā rāsta hamvār karnā
jahāñ par maañ ko gahrī niiñd aa.ī
usī miTTī kā hai dīdār karnā
'sabā' hai āzmā.ish kā tasalsul
ki dariyāoñ pe dariyā paar karnā