Ismail Merathi

pa-e-ghair aur mera sar dekho

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
pā-e-ġhair aur merā sar dekho
TuuT jaa.e na sañg-e-dar dekho
ek aalam paḌā hai chakkar meñ
gardish-e-chashm-e-fitna-gar dekho
maiñ nazar-band ġhair madd-e-nazar
apnā dil aur mirā jigar dekho
chashm pur-nam hai tan ġhubār-ālūd
aan kar sair-e-bahr-o-bar dekho
fikr-e-ifshā-e-rāz kyuuñ na karūñ
kyā hayā-ḳhez hai nazar dekho
hai digar-gūñ marīz-e-ġham kā haal
ho sake to davā bhī kar dekho
ġhair jhalte haiñ ab unheñ pañkhā
asar-e-āh-e-pur-sharar dekho
kam-numā.ī-o-ḳheshtan-bīnī
kitne be-dīd ho idhar dekho
Top Urdushayar.com