Ismail Merathi

hamid kahan ki dauD ke jaun KHabar ko main

Ismail Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1844-1917
hāmid kahāñ ki dauḌ ke jā.ūñ ḳhabar ko maiñ
kis aarzū pe qat.a karūñ is safar ko maiñ
maanā burī ḳhabar hai pa terī ḳhabar to hai
sabr-o-qarār nazr karūñ nāma-bar ko maiñ
ye sañg-o-ḳhisht aah dilāte haiñ terī yaad
rotā huuñ dekh dekh ke dīvār-o-dar ko maiñ
hai terī shakl yā tirī āvāz kā ḳhayāl
kartā huuñ iltifāt yakāyak jidhar ko maiñ
afsos haa.e haa.e kī aatī nahīñ sadā
pūchhe to kyā batā.ūñ tire chāra-gar ko maiñ
kyā ho gayā ise ki tujhe dekhtī nahīñ
jī chāhtā hai aag lagā duuñ nazar ko maiñ
achchhā jo tū ne gosha-e-marqad kiyā pasand
ab apne haq meñ gor banā.ūñgā ghar ko maiñ
tere sar-e-azīz kī bālish ho ḳhaak se
bālīn-e-ġham se ab na uThā.ūñgā sar ko maiñ
dekhī na thī bahār abhī tere shabāb kī
bhūlā na thā abhī tire ahd-e-siġhar ko maiñ
taqdīr hī ne haa.e na kī kuchh musā.idat
kyā ro.uuñ ab duā-o-davā ke asar ko maiñ
hukm-e-ḳhudā yahī thā ki baiThā kiyā karūñ
mātam meñ tere ashk-fishāñ chashm-e-tar ko maiñ
juz dard-o-dāġh tū ne na chhoḌā nishān haif
rakhūñgā mehmān inheñ umr bhar ko maiñ
kar ne do āh-o-nāla ki āḳhir rahūñgā baiTh
taslīm kar ke hukm-e-qazā-o-qadar ko maiñ
kyā fikr-e-āb-o-nān ki ġham kah rahā hai ab
maujūd huuñ ziyāfat-e-dil aur jigar ko maiñ
tujh ko javār-e-rahmat-e-haq meñ jagah mile
māñgā karūñgā ab ye duā har sehr ko meñ
habs-e-davām to nahīñ duniyā ki mar rahūñ
kaahe ko ghar ḳhayāl karūñ rahguzar ko maiñ
ḳhud ham se bhī zyāda ho jo ham pe mehrbāñ
vo jām-e-zahr de to na chakhūñ shakar ko maiñ
vo jaane aur us kī razā jo pasand ho
sab kaam sauñptā huuñ usī dād-gar ko maiñ
hotā na dil meñ dard to kartā na haa.e haa.e
detā na tuul yuuñ suḳhan-e-muḳhtasar ko maiñ
Top Urdushayar.com