kaam agar hasb-e-mudda.ā na huā
terā chāhā huā burā na huā
ḳhaak uḌtī jo ham ḳhudā hote
bandagī kā bhī haq adā na huā
sab jatāyā kiye niyāz-e-qadīm
vo kisī kā bhī āshnā na huā
raḳhsh-e-ayyām ko qarār kahāñ
idhar aayā udhar ravāna huā
kyā khule jo kabhī na thā pinhāñ
kyuuñ mile jo kabhī judā na huā
saḳht fitna jahān meñ uThtā
koī tujh sā tire sivā na huā
jo gadhā ḳhū-e-bad kī daldal meñ
jā phañsā phir kabhī rihā na huā
tū na ho ye to ho nahīñ saktā
merā kyā thā huā huā na huā
rah-rav-e-maslak-e-tavkkul hai
vo jo muhtāj ġhair kā na huā