ulTī har ek rasm-e-jahāñ-e-shu.ūr hai
sīdhī sī ik ġhazal mujhe likhnī zarūr hai
vahdat meñ e'tibār-e-hudūs-o-qidam nahīñ
thā jo butūn meñ ye vahī to zuhūr hai
tārik vahī hai jis ne kiyā kal ko iḳhtiyār
ya.anī harīs-tar hai vahī jo subūr hai
mutlaq yagāngī hai to nazdīk-o-dūr kyā
pahuñchā hai jo qarīb vahī duur duur hai
asl-e-hayāt hai yahī kahte haiñ jis ko maut
jiine kī aarzū hai to marnā zarūr hai
iqrār-e-bandagī hai ḳhudā.ī kā idda.ā
ijz-o-niyāz kyā hai kamāl-e-ġhurūr hai
ummīd kījiye agar ummīd kuchh nahīñ
ġham khā.iye bahut jo ḳhayāl-e-surūr hai
zulf-e-siyāh se ruḳh-e-tābāñ kā husn hai
kahte ho jis ko dev haqīqat meñ huur hai
be-ma.asiyat ḳhazāna-e-rahmat hai rā.egāñ
sach pūchhiye to jurm na karnā qusūr hai
iz.hār-e-jān-e-pāk hai jism-e-kasīf se
be-pardagī hijāb hai zulmat hī nuur hai
bilittifāq hastī-e-vahmī hai niyyatī
hushiyār hai jo nashsha-e-ġhaflat meñ chuur hai
aalā thā jis kā rutba vo asfal meñ hai asiir
saff-e-na.āl moqif-e-sadrussudūr hai
hai raah kī talāsh to kar gumrahī talab
aaqil vahī hai aql meñ jis kī futūr hai
bedārī-e-vajūd hai ḳhvāb-e-adam meñ ġharq
lab band ho ga.e yahī shor-e-nushūr hai
har chand shaġhl-e-sher nahīñ āj-kal zarūr
nazrāna piir jī ke liye kuchh zarūr hai