ik tirī yaad se yādoñ ke ḳhazāne nikle
zikr terā bhī bhī mohabbat ke bahāne nikle
ham ne samjhā thā ki dil hai tirā maskan lekin
jaane vāloñ ke kahīñ aur Thikāne nikle
phir mire kaan meñ gūñjī haiñ duā.eñ terī
terī āġhosh meñ ġham apne chhupāne nikle
ek ḳhushbū kī tarah gāhe-ba-gāhe aanā
kitne sundar tire kuchh ruup suhāne nikle
dil meñ kuchh TūTne lagtā hai tire zikr ke saath
chand aañsū tirī ulfat ke bahāne nikle
maiñ to ik ruup huuñ terā yahī kaafī hai 'sabā'
ab isī rañg se is dil ko sajāne nikle