dard-mandoñ se na pūchho ki kidhar baiTh ga.e
terī majlis meñ ġhanīmat hai jidhar baiTh ga.e
hai ġharaz diid se yaañ kaam takalluf se nahīñ
ḳhvāh idhar baiTh ga.e ḳhvāh udhar baiTh ga.e
dekhā hovegā mire ashk kā tūfāñ tum ne
laakh dīvār gire saiñkaḌoñ ghar baiTh ga.e
kis nazar-nāz ne us baaz ko baḳhshī parvāz
saiñkaḌoñ murġh havā phāñd ke par baiTh ga.e
kam hai āvāz tire kūche ke bāshindoñ kī
naala karne se gale un ke magar baiTh ga.e
muft uThne ke nahīñ yaar ke kūche se 'faqīr'
jab ki bistar ko jamā khol kamar baiTh ga.e