Mahirul Qadri

mana maqam-e-ishrat-e-hasti buland hai

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
maanā maqām-e-ishrat-e-hastī buland hai
maiñ dil ko kyā karūñ ki use nā-pasand hai
tum ko hijāb mujh ko tamāsha pasand hai
merī nazar tumhārī nazar se buland hai
allāh re dil kī ishq meñ dīvāna-vāriyāñ
adnesha-e-ziyāñ hai na ḳhauf-e-gazand hai
āñkhoñ meñ aa chukī hai mohabbat kī vārdāt
tūfān-e-be-panāh piyāloñ meñ band hai
ab un kā intiḳhāb karegā ye faisla
ulfat buland hai ki tamannā buland hai
'māhir' azal meñ dil ne kiyā ġham kā intiḳhāb
un kī ḳhatā nahīñ hai ye dil kī pasand hai
Top Urdushayar.com