Mahirul Qadri

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

Mahirul Qadri

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1906-1978
har nafas meñ dil kī betābī baḌhāte jā.iye
duur rah kar bhī mire nazdīk aate jā.iye
ik zarā tham tham ke ye parde uThāte jā.iye
dekhne vāloñ kī nazreñ āzmāte jā.iye
mere is zulmat-kade ko jagmagāte jā.iye
ho sake to merī ḳhātir muskurāte jā.iye
phir isī andāz se nazreñ milāte jā.iye
dekhne vāloñ kī nazreñ āzmāte jā.iye
yā koī taskīn kī sūrat batāte jā.iye
yā phir apnī yaad se ġhāfil banāte jā.iye
rafta rafta ḳhud ko dīvāna banāte jā.iye
husn kī dilchaspiyoñ ke kaam aate jā.iye
aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai
dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye
kufr o īmāñ ke sivā bhī kuchh manāzir aur haiñ
un ke har andāz par īmān laate jā.iye
aa hī jā.egā koī qismat kā maarā qais bhī
har taraf umm-e-ruḳh-e-lailā bichhāte jā.iye
maiñ ne kuchh fitrat hī paa.ī hai ajab mushkil-pasand
merī har mushkil ko mushkil-tar banāte jā.iye
yaad hai 'māhir' mujhe un kā vo kahnā yaad hai
aaj to bas raat bhar ġhazleñ sunāte jā.iye
Top Urdushayar.com