abhī dasht-e-karbalā meñ hai buland ye tarāna
yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna
tirā kaam tan kī puujā mirā kaam man kī sevā
mujhe justujū yaqīñ kī tujhe fikr-e-āb-o-dāna
mire shauq-e-muztarib se hai ravāñ nizām-e-hastī
jo Thahar ga.ī mohabbat to Thahar gayā zamāna
vo faqīh-e-kū-e-bātin hai adū-e-dīn-o-millat
kisī ḳhauf-e-duniyavī se jo tarāsh de fasāna
tirā ḳhār-o-ḳhas pe takiya mirā ishq par bharosa
mujhe barq se mohabbat tujhe ḳhauf-e-āshiyāna
mire jazb-e-dil ko 'māhir' koī kyā samajh sakegā
mirī shā.irī kī had se abhī duur hai zamāna