vo hañs hañs ke vaade kiye jā rahe haiñ
fareb-e-tamannā diye jā rahe haiñ
tirā naam le kar jiye jā rahe haiñ
gunāh-e-mohabbat kiye jā rahe haiñ
mire zaḳhm-e-dil kā muqaddar to dekho
nigāhoñ se Tāñke diye jā rahe haiñ
na kaalī ghaTā.eñ na phūloñ kā mausam
magar piine vaale piye jā rahe haiñ
tirī mahfil-e-nāz se uThne vaale
nigāhoñ meñ tujh ko liye jā rahe haiñ
mire shauq-e-dīdār kā haal sun kar
qayāmat ke vaade kiye jā rahe haiñ
harīm-e-tajallī meñ zauq-e-nazar hai
nigāhoñ se sajde kiye jā rahe haiñ
abhī hai asīrī kā āġhāz 'māhir'
abhī to faqat par siye jā rahe haiñ