un kī ḳhushī yahī hai to achchhā yūñhī sahī
ulfat kā naam aaj se dīvāngī sahī
har-chand nā-murād huuñ phir bhī huuñ kāmyāb
koshish to kī hai koshish-e-barbād hī sahī
ġhunchoñ ke dil se pūchhiye lutf-e-shaguftagī
bād-e-sabā pe tohmat-e-āvārgī sahī
jab chhiḌ ga.ī hai kākul-e-sab-rañg kī ġhazal
aise meñ ik qasīda-e-ruḳhsār bhī sahī
'māhir' se ijtināb na farmā.eñ ahl-e-dil
achchhoñ ke saath ek gunahgār bhī sahī