Bhartendu Harishchandra

uTha ke naz se daman bhala kidhar ko chale

Bhartendu Harishchandra

Banaras, Uttar pradesh, India

1850-1885
uThā ke naaz se dāman bhalā kidhar ko chale
idhar to dekhiye bahr-e-ḳhudā kidhar ko chale
mirī nigāhoñ meñ donoñ jahāñ hue tārīk
ye aap khol ke zulf-e-dotā kidhar ko chale
abhī to aa.e ho jaldī kahāñ hai jaane kī
uTho na pahlū se Thahro zarā kidhar ko chale
ḳhafā ho kis pe bhañveñ kyuuñ chaḌhī haiñ ḳhair to hai
ye aap teġh pe dhar kar jilā kidhar ko chale
musāfirān-e-adam kuchh kaho azīzoñ se
abhī to baiThe the hai hai bhalā kidhar ko chale
chaḌhī haiñ tevriyāñ kuchh hai mizha bhī jumbish meñ
ḳhudā hī jaane ye teġh-e-adā kidhar ko chale
gayā jo maiñ kahīñ bhūle se un ke kūche meñ
to hañs ke kahne lage haiñ 'rasā' kidhar ko chale
Top Urdushayar.com